Thursday, 23 May 2013

Isse itifaak samjo ya dard naak hakikat....


Isse itifaak samjo,
ya dard naak hakikat,
aankhein jab bhi num hui,
wajah tumhi nikle....

Na jane woh kitna haseen hoga....


Na jane woh kitna haseen hoga,
aapke haath mein jiska naseeb hoga,
koi aapko chahe yeh koi badi baat nahi,
jisko aap chaho woh kitna khush naseeb hoga....

Tumhari iss ada ka kya jawab du....


Tumhari iss ada ka kya jawab du,
apne mehboob ko kya uphar du,
koi acha sa phool hota toh mali se mangwa deta,
jo khud gulab hai usko kya gulab du....

Socho ke pani se judaa hokar....


Socho ke pani se judaa hokar,
yeh machhliya kyu tadap kar mar jaati hai,
na malum tha unko ke,
nazdikiyan aadat aur aadat aksar zindagi ban jaati hai....

Zindagi ek chahat ka silsila hai....


Zindagi ek chahat ka silsila hai,
koi mil jata hai,
koi bichad jata hai,
jise maangte hai hum apni duao mein,
woh kisi aur ko bina maange mil jata hai....

Aapki yaad na aaye toh hum bewafa....


Aapki yaad na aaye toh hum bewafa,
aap bulaye aur na aaye toh hum bewafa,
hume marne ke liye khanjar ki zarurat nahi,
ek baar nazar fer lo,
na mar jaye toh hum bewafa....

Kismat pe aitbaar kisko hai....


Kismat pe aitbaar kisko hai,
mil jaye khushi inkaar kisko hai,
kuch majburiya hai mere dost,
warna judai se pyar kisko hai....

Sunday, 19 May 2013

Mere bina woh tanha ho jaye....


Mere bina woh tanha ho jaye,
jaise manzil ke bina zindagi bewafa ho jae,
khuda aisa mazaak kare unke saath,
ke meri maut ke baad unhe mujhse pyar ho jaye....

Mein uske haatho mein tha....


Mein uske haatho mein tha,
tute hue seeshe ki tarah,
badi umeed thi ki bikharne nahi dega,
bas giraya kuch is adaa se ki,
simat ne ki aas hi na rahi....

Khamosh fiza thi kahi saya bhi nahi tha....


Khamosh fiza thi kahi saya bhi nahi tha,
iss sheher mein humsa koi aaya bhi nahi tha,
kis jurm mein cheeni gai humse hansi,
hum ne to kisi ka dil dukhaya bhi nahi tha....

Koi gila nahi hai mujhe apni barbadi ka....


Koi gila nahi hai mujhe apni barbadi ka,
mein toh khela tha aag se jal jane ke liye,
ab duniya kuch bhi kahe mujhe parwah nahi,
mein toh jita tha zindagi mar jane ke liye....

Ek baar mohobat ki thi bas....


Ek baar mohobat ki thi bas,
phir saare jazbaat hi kho bethe,
ek baar kisi ko jana tha,
phir apni pehchan hi kho bethe....

Saturday, 11 May 2013

Waqt toh hume bhula chuka hai....


Waqt toh hume bhula chuka hai,
muqadar bhi na bhula de,
pyar hum isliye nahi karte,
darte hai koi phir se na rula de....

Lamho mein jo kat jae woh kya zindagi....


Lamho mein jo kat jae woh kya zindagi,
aansu mein jo beh jae woh kya zindagi,
zindagi ka toh safar hi kuch aur hai,
jo har kisi ko samajh jaye,
woh kya zindagi....

Deewane hai unke naam ke iss baat se inkaar nahi....


Deewane hai unke naam ke iss baat se inkaar nahi,
kaise kahe ki hume unse pyar nahi,
Kuch toh kasoor hai unki adaon ka,
warna hum akele toh gunehgar nahi....

Nikle jab aansu unki aankh se....


Nikle jab aansu unki aankh se,
dil karta hai saari duniya jala du,
phir sochta hoon honge duniya mein uske bhi apne,
kahi anjane mein usse aur na rula du....

Maana ki mere ishq mein dard nahi tha....


Maana ki mere ishq mein dard nahi tha,
par dil mera bedard nahi tha,
hoti thi meri aankho se aansuon ki barsat,
par unke liye aansu or paani mein koi fark nahi tha....

Hume unse koi shikayat nahi....


Hume unse koi shikayat nahi,
shayad meri takdir mein chahat nahi,
meri takdir ko likhkar toh upar wala bhi mukar gaya,
pucha toh bola yeh meri likhawat nahi....

Tum pe khatam saari chahat hogi....


Tum pe khatam saari chahat hogi,
phir na kisi pe yeh innayat hogi,
kuch iss tarah se karenge yaad tum ko,
na tumko shikhwa rahega,
aur na zamane ko shikayat hogi....

Tute dil ne bhi uske liye dua maangi....


Tute dil ne bhi uske liye dua maangi,
mere saaso ne bhi har pal uski khushi maangi,
jane kya dil lagi thi us bewafa se,
ki maine aakhri khwaish mein bhi uski wafa maangi....

Mere khwabo mein teer chalakar chali gayi....


Mere khwabo mein teer chalakar chali gayi,
mein soya tha woh jagakar chali gayi,
maine pucha chand nikalta hai kaise,
toh chehre se zulfe hata ke chali gayi....

Ae khat ja unke haathon ko chum le....


Ae khat ja unke haathon ko chum le,
jab woh padhe toh unke hothon ko chum le,
khuda na kare woh phaad bhi dale,
toh girte girte unke kadmo ko chum le....

Na chaho itna....


Na chaho itna,
chahato se darr lagta hai,
na aao itne karib,
durr jane se darr lagta hai,
hume aapki dosti par toh pura bharosa hai,
par apni kismat se darr lagta hai....

Aapki aarzu meri zindgi ka woh khwab hai....


Aapki aarzu meri zindgi ka woh khwab hai,
jiski manzil hi nahi,
rasta bhi kharab hai,
hasi se mere zakham ka andaza mat lagana,
iss dil ka har panna dard ki ek kitab hai....

Dil jeet le jo....


Dil jeet le jo,
woh jigar hum bhi rakhte hai,
katal karde woh nazar hum bhi rakhte hai,
wada kiya hai kisiko muskarane ka,
warna aankho mein sailaab,
hum bhi rakhte hai....

Thursday, 9 May 2013

Aaj hum unhe bewafa batakar aaye hai....


Aaj hum unhe bewafa batakar aaye hai,
unhone likhe khaton ko pani mein bahakar aaye hai,
koi nikal kar padh na le unhe,
isliye pani mein aag lagakar aaye hai....

Hichkiya dila kar yeh kaisi uljhan bada rahe ho....


Hichkiya dila kar yeh kaisi uljhan bada rahe ho,
aankhein bandh hai phir bhi nazar aa rahe ho,
bas itna bata do humein yaad kar rahe ho,
ya apni yaad dila rahe ho....

Dua dene wale ka farmaan abhi baki hai....


Dua dene wale ka farmaan abhi baki hai,
unki wafa ka imtihaan abhi baki hai,
meri maut par bhi unki aankho mein aansu nahi,
unhe shak hai ki,
mujh mein abhi jaan baki hai....

Kaha sirf usne itna....


Kaha sirf usne itna,
ki khamoshi hai mujhe bahot pasand,
itna suna hi tha ki,
humne shor machati apni dhadkane bhi rok li....

Mat roko mujhe peene se....


Mat roko mujhe peene se,
mehkhana rooth jayega,
hathon se jaam gir gayi,
toh dil bhi toot jayega,
woh toh kab ke chal diye,
bas yaadein unki baaki hain,
sharaab chooti,
toh unki yaadon se bhi saath choot jayega....

Kasti ke musafir ne samundar nahi dekha....


Kasti ke musafir ne samundar nahi dekha,
aankho mein rahe,
par dil mein utar kar nahi dekha,
pathhar samajte the hume chahane wale,
par hum toh Maum the,
kisi ne choo kar hi nahi dekha....

Saturday, 4 May 2013

Ae khuda aaj nazaro ko kuch aisa dikhai de....


Ae khuda aaj nazaro ko kuch aisa dikhai de,
jaha dekhu bas vahi dikhai de,
kaash aisi meharbaniya ho jaye aaj hawa mein,
ki usko pukaru aur sirf uski ko sunai de....

Khushi agar humse daaman bachati hai....


Khushi agar humse daaman bachati hai,
toh bachaye,
humein toh ghum hi hai,
jo raas aaye,
mohobat ka yeh ajeeb dastoor dekha hai,
ussi ki jeet hoti hai,
jo haar jaaye....

Jisne hume chaha....


Jisne hume chaha,
usse hum chaha na sake,
jise chahate the usse pa na sake,
bas yeh samaj lijiye,
dil tutne ka khel hai,
kisi ka toda,
toh apna bhi bacha na sake....

Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi....


Chehre pe ashko ki lakeer si ban gayi,
jo na chaha tha vo takdeer si ban gayi,
humne to chalayi thi ret pe ungli,
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi....

Thursday, 2 May 2013

Alvida keh ke jab wo chal diye....


Alvida keh ke jab wo chal diye,
in aankho ne saare hasin khwab kho diye,
ghum yeh nahi ke woh mujhe chod gaye,
dard toh tab hua,
jab alvida kehte kehte woh khud ro diye....

Hum hosh mein kaha the jo khud ko sahara dete....


Hum hosh mein kaha the jo khud ko sahara dete,
yahi bohat tha ki har ghum pe muskura dete,
agar chehre pe hote zakhm dil ke,
toh hum aaine ko bhi rula dete....

Mudat se thi kisi se milne ki aarzoo....


Mudat se thi kisi se milne ki aarzoo,
khwaish e didaar mein sab kuch gawa diya,
kisi ne khabar di ki woh aaenge raat ko,
itna kiya ujala ki ghar tak jala diya....