Friday, 18 April 2014

Tujhe inkaar hai mujhse....


Tujhe inkaar hai mujhse,
mujhe ikraar hai tujhse,
tu khafa hai mujhse,
mujhe chahat hai tujhse,
tu mayoos hai mujhse,
mujhe khushi hai tujhse,
tujhe nafrat hai mujhse,
aur mujhe pyar hai tujhse....

Thursday, 17 April 2014

Zindagi tasveer bhi hai aur taqdeer bhi....


Zindagi tasveer bhi hai aur taqdeer bhi,
farak toh sirf rango ka hai,
mann chahe rango se bane toh tasveer hai,
aur anjaane rango se bane toh taqdeer hai....

Wednesday, 16 April 2014

Kalam thi haath mein....


Kalam thi haath mein,
likhna sikhaya aap ne,
takat thi haath mein,
hosla dilaya aap ne,
manzil thi saamne,
rasta dikhaya aap ne,
hum to sirf dost the,
aashiq banaya aap ne....

Tuesday, 15 April 2014

Un haseen palo ko yaad kar rahe the....


Un haseen palo ko yaad kar rahe the,
aasmaan se aapki baate kar rahe the,
sukun mila jab hume hawao ne bataya,
ki aap bhi hume yaad kar rahe the....

Monday, 14 April 2014

Aap kahe ek baar toh muskurana chodd denge....


Aap kahe ek baar toh muskurana chodd denge,
zindagi mein mohobat ka geet gana chodd denge,
bhul jayenge un saare lamho ko,
jo aap ne diye hai,
aap kahe toh,
khud ki zindagi ka saath nibhana chodd denge....

Thursday, 6 March 2014

Kyun rakhoo main apni qalam mein sayahi....


Kyun rakhoo main apni qalam mein sayahi,
jab koi armaan dil mein machalta hi nahi,
na jane kyun,
sabhi shak karte hain mujh par,
jab sukha gulab meri kitaabon mein milta hi nahi,
kashish toh bahot thi mere pyar mein,
magar kya karu,
koi pathar dil pighalta hi nahi,
agar khuda mile,
toh usse apna pyar mangoon ga,
par suna hai woh marne se pehle kisi se milta hi nahi....

Tuesday, 4 March 2014

Aap ka aashiyana dil mein basa rakha hai....


Aap ka aashiyana dil mein basa rakha hai,
aap ki yaado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate ho aap hi kyon,
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai....

Maine usse ek ishara kiya....


Maine usse ek ishara kiya,
usne salaam likh ke bheja,
maine pucha tumhara naam kya hai ?
usne chand likh ke bheja,
maine pucha tumhe kya chahiye ?
usne saara aasma likh ke bheja,
maine pucha kab miloge ?
usne qayamat ki shaam likh ke bheja,
maine pucha kis se darte ho ?
usne mohobat ka anjaam likh ke bheja,
maine pucha tumhe nafrat kis se hai ?
usne mera hi naam likh ke bheja....

Thursday, 27 February 2014

Jane kis cheez ki woh mujhko saza deti hai....


Jane kis cheez ki woh mujhko saza deti hai,
meri hasti huyi aankhon ko rula deti hai,
kis tarah baat likhu dil ki usse, woh aksar,
doston ko mere khat padh ke suna deti hai,
saamne rakh ke nigaahon ke woh, tasveer meri,
apne kamre ke cheeraghon ko bhuja deti hai,
mudato se toh khabar bhi nahi bheji usne,
uski aadat hai woh apno ko bhula deti hai…

Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai....


Woh jante hai ki hum unke intezaar mein hai,
isliye shayad woh der laga rahe hai,
waqt kat-ta nahin unke bina hamara,
yeh jante huve bhi hume sata rahe hai,
na jane kya milta hai unhe hume yun sata kar,
jo der se akar bhi woh muskara rahe hai....

Tuesday, 25 February 2014

Unse durr jaane ka irada nahi tha....


Unse durr jaane ka irada nahi tha,
sada saath rehne ka wada bhi nahi tha,
woh yaad nahi karegi jante the hum,
par itni jaldi bhool jayegi andaaza nahi tha….

Zindagi ka raaz tanhai mein pa liya....

Zindagi ka raaz tanhai mein pa liya,
jiska bhi ghum mila usse apna bana liya,
ghum hamara sun ne ko jab koi nahi mila,
toh rakha aaina samne aur khud ko rula diya....

Monday, 10 February 2014

Gustakhi yeh hai hamari....

Gustakhi yeh hai hamari,
ki hum har kisi se rishta jod lete hain,
log kehte hai mera dil pathar ka hai,
lekin ae dost,
kuch log aise hai jo isse bhi tod dete hai....

Katra katra behte hain aansu....

Katra katra behte hain aansu,
aur hum unhe sukha bhi na paaye,
iss se badhkar wafa ki saza kya hogi,
woh roye humse lipat kar kisi aur ke liye,
aur hum unhe mana bhi na paaye....

Friday, 3 January 2014

Woh mehandi waale hath hume dikha ke royi....

Woh mehendi waale hath hume dikha ke royi,
ab mein hoon kisi aur ki yeh bata ke royi,
pehle kehti thi ke nahi jee sakti tere bin,
aur aaj woh yehi baat fir se dohra ke royi,
kaise karu uski mohobat pe shaq yaaro,
bhari mehfil mein woh mujhe gale laga ke royi....

Teri bewafai mein dil bekaraar hi na karu....

Teri bewafai mein dil bekaraar hi na karu,
tu hukum de toh tera intezaar hi na karu,
tu bewafa hai toh kuch iss kadar bewafai kar,
ke tere baad main kisi aur se pyaar hi na karu....

Haskar woh ghum ki saza dete hai....

Haskar woh ghum ki saza dete hai,
zeher mein thoda sa pyar mila dete hai,
jab bhi naam aata hai unke deewano ka,
log meri taraf ungliya utha dete hai....

Dusmano se nahi apno se darr lagta hai....

Dusmano se nahi apno se darr lagta hai,
bada muskil,
yeh zindagi ka safar lagta hai,
jaha bhi hoti hai andhero se tanhai ki guftagu,
na jane kyon woh mujh ko,
mera hi ghar lagta hai....

Mandir mein phool chadane gaye....

Mandir mein phool chadane gaye,
toh yeh ehsas hua,
ki patharo ko kush karne ke liye,
yeh katal kar aaye hum,
mitane gaye the paap apne jaha,
ek aur paap kar aaye hum....